Monday, 31 December 2012

kaati Hai Gum Ki raat barey Ehtaraam Se

kaati Hai Gum Ki raat barey Ehtaraam Se ...
 
Aksar Bujha Liya Hai charaagon Ko Shaam Se ....

Roshan Hai Apni Bazm Aur Is ehtamaam Se ....

Kuch Dil Bhi Jal rahey hain charaagon Ke Naam Se ....

muddat huwi Hai Khoon-E-Tamanna Kiye Magar ....

Ab Tak Tapak Raha Hai Lahuu Dil Ke jaam Se ....

Subah-e-Bahaar Hum Ko Bulaati Rahi Magar ....

Hum Khelte Rahe Kisi Zulfo.n Ki Shaam Se ....

har saans Par Hai Maut Ka Pehra Laga huwa ....

Aahista Aye Hayaat Guzar Is Makaam Se ....

kaatii Tamaam umr Fareb-E-Bahaar mein ....

kaante samate-Te Rahe Phoolo.n Ke Naam Se ....

Ye Aur Baat Hai Ke "Dua" Hum Nay Sun Kay....

azet us Ne Di Hai hamein har Makaam Se...

No comments:

Post a Comment